My Recent fascination with SHAYARI and few of my compositions:
Note: Kindly give me suggestions to improve vocabulary in Urdu :)
Poochti hoon khuda se sirf yehi baar baar,-2
Kyon banaya humein mom ki tarah,
Hawa bhi mom ki laow ko bhujha jaati hai, -2
Banana he tha humein laow, toh banate sonar ki laow ki tarah,
Jo apni tej se sone ko bhi mom bana deti hai.
Woh aaye mere paas toh school se choote huye bachchon ki tarah,
Aaye toh pehle ki tarah poore jazbaat ke saath aaye,
Diye hain khol dil ke har darwaaje unke liye,
Aaye dil mein ek baar toh sahi, band kar leinge sab darwaaze hamesha ke liye.
( This one is not mine....I heard is somewhere)
Ajeeb sa hota hai yeh mausam ka mizaaz,
Dhoop, Chaanv, badali toh kabhi dharti ki pyaas,
Samjhna tha mushkil se toh sirf mausam ko pehle,
Lekin jabse tum mile ho mausam ke yeh mizaaz bhi pasand aane lage hain humein,
Khushkismati he hogi hamari agar tum na badalo kabhi mausam ki tarah.
Dekhti hoon badalon ko toh hoti hai mann mein jhankar,
Phoot phoot ke rote huye, badalon ke ye aansoon chedte hain harmonium ke raag,
Mann karta hai ki bheeg jaon tere aansooon mein un khelte huye bachchon ki tarah,
Yeh jhankar, yeh raag , bachchon ki woh umang ishaare karti hai ki badal aagaye firse jhoomte huye, Mere pairon ko apni jhankar pe thirkaane ke liye.
Wednesday, July 28, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)